Ajza ;
Basmati Chawal Adha Kilo
Piyaz 3 Adad (Slice Main Kati Hui)
Lehson Adrak Paste Adha Khane Ka Chamch
Garam Masala Powder Ek Chai Ka Chamch
Surakh Mirchain 3 Adad
Dar Cheeni Ek Tukra
Dahi Ek Cup
Sabz Alichi 3 Adad
Sayah Mirchain 5 Adad
Longain 5 Adad
Shah Zera Adha Khane Ka Chamcha
Haldi Powder Adha Chai Ka Chamch
Doodh Ek Chothai Cup (Zafran Mila)
Khushk Khobaniyan 5 Adad
Dhaniya Podiya Hasbe Zarorat
Khushk Mevee Hasb Pasand
Ghee Hasbe Zarorat
Method
Khushk Mevajat Aur Khobaniyon Ko 2 Khane Ke Chamch Ghee Main Fry Kar Lain,Fry Karte Waqat Zaique Ke Liye Is Main Chutki Bhar Namak Shamil Kar Dain.Ab Tali Hui Piyaz Aur Lal Mirchon Ko Grind Kar Ke In Ka Paste Bana Lain.Mutton Ko Dahi,Adrak,Lehson Ke Paste,Haldi Powder,Namak,Aur Mirchon Ke Paste Se Marinate Karain.Pressure Cooker Main Ghee Garam Karain Aur Marinate Kiya Huia Mutton Is Main Dal Kar Pakain.Kisi Dosre Bartan Main Ghee Garam Karain Aur Garam Masale Dal Kar Fry Karain.Phir Is Main Dhule Huiye Chawal Dal Dain.Pani Aur Namak Shamil Kar Ke Chawalon Ko Pakain.Pani Chawalon Se Dhai Inch Upper Hona Chahiye,Jab Chawal Pak Jain tu Isay Kisi Bare Bartan Main Phila Dain.Aur Garam Masala Nikal Dain,Ab Kisi Bhari Penay Ki Pateli Man Ghee Garam Karain Aur Is Main Tayar Shuda Mutton Dal Kar Thora Garam Masala Powder Is Par Chirak Dain.Is Par Chawalon Ki Tah Lagain Aur Upper Se Pighla Huiya Ghee Dalain Phir Zafran Mila Doodh Bhi Dal Dain.Akhir Main Fry Kiye Huiye Mavee Dalain Aur Achi Tarhan Dhanp Kar 15 Se 20 Min Ke Liye Dum Per Laga Dain.Barek Kata Huiya Dhaniya Aur Podina Chirak Kar Garam Garam Surve Karain.Eid Ul Azha Ki Dawat Ka Lutf Dubala Ho Jai Ga.
No comments:
Post a Comment